bhlkj

Monday, October 26, 2015

love and sad sms


1. Unki nigahe kya kamal karti hai.kabhi Haqiqat to kabhi Afsane bayan karti hai.Tham si jati hai us pal Dhadkane, Jab unki jhuki palke mohabbat ka izhaar karti hai.❤💘
 2. Lamhe ye suhane saath ho na ho, kal me aaj jaisi koi baat ho na ho.Aapka pyaar hamesa is dil mai rahega, chahe poori umar mulaqat ho na ho.💑😘
 3. Kaash ye zindgi haseen hoti, khud ke chahne se har duwa Kabul hoti.kehne ko to sab apne hai, par kaash koi aisa hota, jise mera Dard se takleef hoti.😢
 4. Ye raat itni tanha kyu hoti hai, Kismat se ani sabko shikayat kyo hoti hai.Ajeeb khel khelti hai kismet, jise hum paa nahi sakte ussi se hi mohabbat kyu hoti hai.
 5. Tujhe bhoolkar na bhool payenge hum bhi, Bas yahi ek wada nibhayenge hum.Mita denge khud ko jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge Hum.
 6. Koi daulat par naaj karata hai, koi shauhrat par naaj karata hai.jis ko milate hai hamare mesej, wo kismet par naaj karata hai.
 7. Kaash humari bhi parwah kisi ne ki hoti, To ye duniya humse ruswa na hoti.Agar aata aap jaisa muskrana to, Humse bhi kisi ne Mohabbat ki hoti.
 8. Har gam sahe us ke pyar ki khatir, Har diwar todi us ke dedaar ki khatir.Duniya bhula diya usey pane ki khatir, Usne mera dil tod diya auron ki khatir.
 9. Aadat hia teri yaad ane ki, en aankho ko teri ek zalak pane ki.Hamari to tamanna hai aapko pane ki, Par shayad aapki aadat hai hame tadpane ki.
 10. Jaan tujhse kiya vaada nibha raha hoon, Aaj phir se Teri sazi mehfil mein aa raha hoon.Par mujhe rokne ki na koshish karana yahan, Mera thikana hai wo dunia khatma hoti hai jahan.💑
 11. Dard de kar ishq ne hume rula diya, Jis par marte the usne hi hame bhula diya.Hum to unki yadon mein hi jee laitay, Magar unhone to yaadon mein hi zehaer mila diya.
 12. Mujhe jeene ki koi hasrat nahi hai, Agar tumko mujhse mohabbat nahi hai.Bhula denge hum wo sab baaten, Mujhe khushyion ki aadat nahi hai.
 13. Kya hai dil ki haalat bataana nahi aata, Kisi ko aise tadpaana nahi aata. Sunna chahate hai ek baar fir aawaz uski, Magar baat karne ka bhahaana bhi nahi aata.
 14. Hamari kabar par aakar rona na dosto, Badi muddat ke baad sukun se soya hain.Umar gujri nafrato ke saye me, Har lamha kisi ki chahat ki khtair roya hain.
 15. Har sham se tera izhaar kiya karte hai, Har khwab me tera dedar kiya karte hai.Diwane hi to hai hum tere, Jo har waqt tere milne ka intzaar kiya karte hai.
 16. Aapki yaad bahut aati hai, Hume bahut roolati hai.Kab milna hoga nashib mein, Bas yahi chinta hume satati hai.
 17. Nazarein mile ek jamana ho gaya, Aisa lagta hai apna bhi har koi begana ho gaya. Wo to chale gaye humse bahut door kahin, Magar mushkil humara is jahan mein jeepana ho gaya.
 18. Teri judai bhi hume pyaar karti hai, Teri yaad bahut bekaraar karti hai.wo dinjo tere sath gujare the, Talaash un ko nazaren baar baar karti hai.
 19. Phool khilte hai, Baharo ka sama hota hai. Aise mousham mai,
 To Payar jawa hota hai. Dil ki baato key honto se Nahi kahte
 Ye phasana to Nigahon se wayan hota hai.
 20. Zindgi mai kuch na mila to kya gam hai. Tera pyaar mila wo,
 Kya kam hai. Ek chhoti si jagha mili jo tere Dil mai hai. Wo
 Kya kisi Taj Mahal se kam hai.
 21. Tujhe Dekhe bina teri tasbir bana doon. Tujhe mile bina tera ,
 Haal suna doon. Hai mere payar mai itna dum . ki Teri aankh
 Ka aanshu apni aankh se gira doon.
 22. Ladki –Ladki par nazar dali ,Sali zindgi barbaad kar Dali,
 Jab Ladki ne hum par nazar dali, to uske baap ne uski shaadi
 Hi kar dali.
 23. Pyar kar ke jataye ye zaruri to nahi, Yaad kar ke bataye ye zaruri to nahi.Rone wala to dil me hi ro lete he, Aankh me aansu aaye ye zaruri to nahi.
 24. Uski aarzoo meri manzil ka wo khwaab hai, Jiski manzil nahi rasta bhi khwaab hai.Haar kar mere dard ka andaaza na lagana, Is dil ka har panna dard ki kitab hai.
 25. Khushi se dil ko aabad karma, Aur gam ko dil se aajad karana.Hamari bas etni gujarish hai, Ki hame bhi dIn mai ek baar yaad karma.
 26. Dekho awaz dekar pass hume paige, Aaoge tanha par tanha na jaoge.Dur rehkar bhi tumpe hazard hai meri, Hantho se tham lenge jab thokar khaoge.
 27. Hume aajkal gam ka ehsas nahi, Tere tajurbe ka ehsas hota hai.Humara armaan tujhe dekhkar nahi, Teri bewafai karne ke hausle ko dekhkar rota hai.
 28. Us ne humse pocha teri raza kya hai, Kyun karte ho mohabbat wajah kya hai .Kaise bataon use meri khata kya hai, Jo waja se kare mohabbat us main maza kya hai.
 29. Hum na jeet sake wo aisi shart lagane lage, Apni pyari si ankho ko hamari ankho se ladane lage.Hum jeet hi jaate par palak hamne tab jhpka li, Jab unki ankho se aansu ane lage.
 30. Ek ajnabi se mujhe itna pyar kyu hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyu hai.Use pana nahi meri taqdeer me shayad, Phir har mod pe usi ka intzaar kyu hai.
 31. Dil tuta to ehsaas hua, Ansoo aaye ankhon mai to dard hua, Kisi ne pucha aisa kya hua, Hum muskuraye or bole ke aaj hume bhi pyar hua.
 32. Har ek chehre pe guman tumara tha, Basa na koi dil me ye khali makan tumara tha.Tmam dukh mere dil se mit gaye, Lekin jo na mit saka wo 1 naam tumara tha.
 33. Pal bhar mein tut jaye wo kasam nahi, Apko bhul jaye wo hum nahi.Tum hame bhul jao is baat me dum nahi, Kyo ki tum hume bhul jao itne bure hum nahi.
 34. Wo paas hi na aaye to izhaar kya karte, Khud bane nishane to sikar kya karte. Marne par bhi khuli rahi hamari aankhe, Isse zyada kisi ka intezar kya karte.
 35. Hakeekat jan lo bichad janay se pehle, Hamari sum lo apni sunanay se pehle.Soch lo lekin dur jane se pehle, Ke ye ankhe bahut royi muskuranay se pehle.
 36. Yaad rukti nahi rok paane se, Dil maanta nahi kisi ke smjhane se. Ruk jati hai dhadkene aapko bhool jane se, Is liye aapko yaad karte hai zine ke bhane se.
 37. Me paa saka na bhula saka, Na dil ki baat use bata saka. Wo hansi hansi me hi chal diye, K me hath tak na hila saka.
 38. Wo samjhe na samjhe hamare jajbaat ko, Hum mange unki har baat ko.Hum chale jayenge ek din is duniya ko chod kar, Wo aansu se royenge har raat ko.
 39. Majboor tha halat se mohabbat jata na saka, Chubhate rahe jakham kisi ko bata na saka. Chahton ki had se chaha use, Sirf apna dil nikal ke dikha na saka.
 40. Dard mai koi mausam nahi hota, Dil ho pyasa to paani se gujara nahi hota. Koi dekhe to hamari bebasi, Hum sab ke ho jate h par koi hamara nahi hota.
 41. Roothe jo zindgi to mana lenge hum, Mile jogkam to nibha lenge hum. Bas aap rehena sath hamare to, Piglte huye ansuo me bhi muskura lenge hum.
 42. Iltija hia bas tujhe pane ki, Aur koi hasrat nahi hai tere deewane ki. Shikva mujhe tujhse nahi khuda se hai, Kya zururat thi tujhe itna khubsoorat banana ki.
 43. Kehne ko zindagi mein laakh mazburi hai, Magar dosto ko sms karma zaroori hai. Kabhi ruthne na dena doston ko, Kyo ki dosto ke bina zindagi adhuri hai.
 44. Aaj phir uski yaad ne rula diya, Kesha hai ye chera jisne ye sila diya. Do lafj likhne ka salika na tha, Uske pyar ne mujhe shayar bana diya.
 45. Mujhe jeene ki umeed dobara de do, Meri doobti kasti ko kinara de do.Mai dard k sahil pay tanha khara hu, Phir aa k apni baahon ka sahara de do.
 46. Ek din jab hum duniya se chale jayenge, Mat sochna aap ko bhool jayenge. Bas ek bar aasmaan ki taraf dekhna, Mere SMS sitaroo par likhe nazar aayenge.
 47. Har phool ki ajab kahani hai, Chup rehana bhi pyar ki nisani hai. Kahi koi zakham nahi phir bhi kyu ye ehsas hai, Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi us ke paas hai.

Jitna chaho Tod Lo main koi
KASAM nhi hu...


 48. Kehte hai her baat kisi ko kahi nahi jati, Apno ko bhi batayi nahi jati. Par dost to dil ka aaina hota hai, Aur aainay se soorat chupaay nahi jati.
 49. Log kahate hai k taaj mahal hasin hai, Hum kahate hai k hamara dost hasin hai. Taj mahal ko pathon se sajaya hai, Magar hamare dost ko khuda ne khud banaya hai.
 50. Unki yaado me hum barso rote rahe, Bewafa wo the badnaam hum hote rahe. Mohabbat unhe doult se thi, Aur hum khud se samjhte rahe.
 51. Sapney kab kisi ke apne huye, Inhone to duniya ke behkaya hai.Hansee kisi ko dekar ke hame, Zindagi bhar khoon ke aansu rulaya hai.
 52. Dhadkan bina dil ka matlab hi kya, Roshni bina diya ka matlab hi kya. Kyu kehte hai log ki Mohabbat na kar dard milta hai, Wo kya jane ki dard bina Mohabbat ka matlab hi kya

karim khan

No comments:

Post a Comment

Thank you view my website